Showing posts with label Article. Show all posts
Showing posts with label Article. Show all posts

Sunday, June 27, 2021

What is Proofreading?




What is proofreading?

Proofreading is the reading of galley proof or an electronic copy of a publication to identify and correct text or art. Proofreading is the final step in the editorial cycle before publication.

What kind of issues identifies and correct during proofreading?

By the time the document was ready to be read again, it should have been edited already. This means that its content must be well-organized, well-written, and easily understood. Editing includes remove errors but focuses on making sure the text is completely logical.
Readings, on the other hand, are about finding small and large errors that are missed or presented during editing. Proofreaders check that the final draft of the document is free of grammatical errors (eg, object-verb problems, incorrect word choice, use of incorrect punctuation, and incorrect spelling) and formatting and typographical errors. They also ensure that the document adheres to the chosen style guide.

Conclusion

Although test reading is more widespread than editing, it is an important step when preparing a piece of writing for other people to read, as mistakes can cause confusion or seem trivial. Sofiaexpert services will help you polish your writing and make sure it is suitable for your readers.
Read More

Wednesday, December 16, 2020

Aik bacha Jisy golian lagi theen jism sa khoon beh raha tha lkin wo musalsal Talawat kr raha tha...


Saneha army public school ko aaj chay baras ho gaye hain lekin is saneha ko yaad kar ke aaj bhi ronghate kharray ho jatay hain jis mein dehshatgardon ne masoom phoolon par golian barsaaen aur inhen shaheed kar diya tha. Iss andohnak saneha ki 6th barsi ha.  Peshawar ke lady reading hospital mein guzashta 20 saal se khidmaat sir injaam dainay wali Shabana Rehman ne 16 decemeber 2014  ko hospital mein laaye aik zakhmi bachay ki kahani sunaate ہوئے kaha ke mein is bachay ko shayad kabhi nahi bhool sakoo gi, woh 12, 13 saal ka bacha Hafiz quran tha .

Iss ke sir aur jism ke مختف hisson par shadeed zakham thay, usay golian lagi theen, khoon is ke jism se beh raha tha, aur haalat bohat kharab thi lekin hosla pahar jaisa tha, woh musalsal kalaam ki tilawat kar raha tha .
is bachay ka hosla bohat buland tha. Shabana Rehman ne bataya ke Dr aur staff is bachay ka ilaaj kar rahay thay lekin woh khamoshi se sirf tilawat karta raha yahan tak ke is ka dam nikal gaya.

‫Meri‬ zindagi mein yeh aisa pehla waqea tha jis mein aik martay ہوئے bachay ne itni bahaduri ka muzahira kiya ho. unhon ne baat karte ہوئے kaha ke jab saneha army public school mein shaheed aur zakhmi honay walay bachon aur afraad ko hospital laya gaya to uss waqt mein duty par thi. mein hospital ke trauma center mein duty day rahi thi aur mein ne bohat saaray zakhmion ko tibbi imdaad bhi fraham ki .

Mein heran thi ke yeh bacha bilkul khamosh hai halaank usay golian lagi theen aur woh bohat zabt kiye ہوئے tha. lekin jab is bachay ke walidain trauma center mein daakhil ہوئے aur bachay ne jaisay hi unhein dekha is ne rona shuru kar diya tha aur phir bohat roya. Shabana Rehman ka kehna tha ke is roz paish aaye chand aik waqeat to un ke zehen par naqsh ho kar reh gaye hain jo aksar mujhe pareshan bhi kar dete hain 

Un ka kehna tha ke is hamlay ke baad mein aur mere bachay aksar khaufzadah rehne lag gaye thay. yaad rahay ke 16 decemeber 2014 ko army public school mein kuch dehshatgardon ne hamla kya aur dehshatgardon ki firing ke nateejay mein bachon samait 140 afraad shaheed ہوئے thay. shohada ki yaad aaj bhi un ke ahal khanah ko rulla deti hai. walidain aaj bhi apne bachon ko yaad kar ke Balk Balk kar rotay hain, saneha purana ho gaya lekin gham purana nahi ho saka. saneha ae pi s ke shohada ke walidain aapas mein aik community ki shakal ikhtiyar kar chuke hain jo aik dosray ke dukh sukh mein shareek hotay hain, jabkay wats app par aik aisa group bhi bana sun-hwa hai jahan shohada ke lawahiqeen aur rishta daar apne pyaron ki yaado ko taaza karte aur inhen doosron ke sath share karte hain .

Read More

Monday, December 14, 2020

kunwary pan se shaadi tk ky safar... کنوارے پن سے شادی تک کے سفر


Kunware pan se shaAdi tak ke safar ko ko agar baat ltifon se وظیفوں tak aa pohanchi kaha jaye to ghalat nah hoga. aur agar yeh kaha jaye, mard ko shadi ke baad samajh aati hai ke film hero aur heroen ke mlitay hi khatam kyun kar dete to ghalat nah ho ga. Pakistani aurton ki sharafat ki intahaa : woh shohar ko dekhe baghair shadi kar layte hain, aur shohar ki sharafat ki intahaa : woh khatoon ko baghair make up ke dekh kar bhi inkaar nahi karta. is ke peechay wajah bas yahi ke mard ke paas Allah ka diya sab kuch bhi ho to bas baat baat par mun bananay wali ki kami jo rehti hai. aur aurat ko musalsal aik mard uuullllu bananay ki kami jo rehti hai to ghalat nah hoga .

Shohar woh hasti hai. jis ko islam ka kuch pata ho nah ho yeh zaroor pata hota, chaar shadian karna is ka haq hai .Aur biwi woh hasti hai jisay ghar hasti aati ho ya nah ho shohar ki thukai bajai aur pataayi karna apna pedaishi haq samjhti hai. tareekh gawah hai, is duniya mein acha shohar kisi ko nahi milta hai. bas shohar ke rishte daaron ko bura bana kar hi usay acha banaya jata hai. aik tehqeeq yaad aagai, jis ke mutabiq dil ke amraaz shadi shuda logon ko kam hi hotay hain kyunkay ke unhein dimaghi amraaz se chhutkara hi nahi milta .

Suna hai shehar to terhan ke hotay hain aik jo bana kahin dil ki baat samajh jatay hain baat baat par muskuratay hain har khushi ghami mein barabar ke hissay daar hotay hain jo dhoop mein chaon aur ghami sookh ke nahi hotay hain aur dosray jo Pakistani biwion ke paas hain jo loving drive کولانگ suffering samajte hain, dil khol kar shopping karwanay ko aa bail mujhe maar samajte hain, movie dikhane ko, Amaan khatrah mein daalnay ke barabar samajte hain .

Har jagah kamanay ki bajaye bas baton mein ghumate hain, aur to aur birth day ki bajaye ڈیٹھ day ziyada yaad rakhtay hain .

Dekha jaye to aaj kal ki aulaad se ziyada shohar فرمابردار hain, kaam khatam hotay hi, ghar aa jatay hain. aur kabhi unhon ne socha apni biwi ko apni so feesad raqam dainay se, das feesad sukoon milta hai .

Kisi doosri ko daas feesad dainay se sofisd sukoon milta hai. paisa aap ka faisla aap ka. shohar apni biwi ko muskura kar bhi dekhe to jawab milta hai aaj mein kuch nahi pakanay wali, aur yahi agar kisi aur ko muskura kar dekho to zindagi mein aik nai kick millti hai, muskurahat apkee faisla اپکا, apni biwi ko shair وشاعری sunai jaye to agay se soojha sun-hwa chehra hi dekhnay ko milta hai, kisi aur ko sunaaoo to wahan muskurahat ke sath phone number mil sakta hai .

Aur ghar mein make up lana aisay hi hai jaisay purani corolla ki ڈینٹنگ painting, wohi make up kisi aur ko dena morad uran khtolh bhai uran khtolh aur waisay bhi shohar ko biwi ki qader sirf is waqt mehsoos hoti hai jab park ke bahar guard rokkk ke kehta hai family ke baghair andar jane ki ijazat nahi. to dimagh aap ka faisla اپکا. neez likhari anay walay waqeat o hadsaat se buri alzmh samjha jaye ga . 

Read More

Sunday, December 13, 2020

Shaadi Ky Side Effects ...شادی کے سائیڈ افیکٹس

 


Shadi walay roz aap achanak Muaziz ho jatay hain. woh dost aur rishtadaar jo pehlay apni tasaveer کھنچواتے waqt aap ko sofay se utha diya karte thay ؛ ab line bana kar aap ke sath tasaveer banwanay ke liye intzaar karte hain.
Movie cameron ka rukh pehli baar sirf aap hi ki taraf hota hai. roshiniyon ki chuka chond aur camera ke click click ki aawazian sun kar bulaa wajah Fawad Khan jaisi' red karpt' wali feeling aa rahi hoti hai .
Zindagi mein jis shakhs ko college se le office tak har larki" bhai" ke kar jaan churra layte ho, aaj es ke pehlu mein aakhir-kaar aik aisi larki baithi hoti hai jo is ko sab kuch ke sakti hai magar" bhai" nahi .Jis ke hamesha der se anay, hatta ke anay ya na anay ka bhi kisi ne kabhi notice na liya ho es ke intzaar mein sab log ghariyaan dekh rahay hotay hain .


Nikah par senkron log aap ke teen baar" qubool hai" kehnay ke intzaar mein dam sadhay baithy hotay hain aur jaisay hi teen jaadoyi alfaaz aap ke mun se nikaltay hain, aap ko aisay mubarak dete hain jaisay Sarfraz ko champion trophy jeetnay par mili thi .


Aap ka apna bhai jo fridge mein para aap ka bachaya  bargar tak nahi چھوڑتا؛ ab do teen vitron ki duty laga raha hota hai ke aap ko har khana stage par waafar miqdaar mein milna chahiye .
Aap ko pehli baar ehsas hota hai ke hindostan mein gaaye ki itni izzat kyun karte hain jab aik ghoont doodh peenay par hazaron rupay adaigi karni padtee hai, woh bhi aan di sapat .
Aap ke dost aur cousin jo hamesha chowk mein aap ki be izzati karna sawab ka kaam samajte hain shadi walay din be basi se aap ke akela honay ke intzaar mein haath mul rahay hotay hain .

Zindagi mein pehli baar aap ko pata chalta hai ke privacy naam ki cheez bhi duniya mein wujood rakhti hai ؛ jab drawing room mein gadda bichaa kar sonay walay ko allag kamrah allot kya jata hai .
Aap ke apne ghar walay jab darwaaza khatkhata kar ke aap ke kamray mein daakhil hotay hain to khwamkhwa shirt ke caller ounchay karne ko dil karta hai, gardan tan si jati hai aur chehray par fakharya smile aa jati hai .

Woh Abba jaan jo doston ke sath maari jane par aap ko ulta latka dete thay ؛ aap ke liye Gilgit mein khud ریزارٹ buk kerwatay hain .

Aap ke apne ghar mein bhallay koi izzat na ho, aik dosra ghar" sasural" aisa hai jahan larkiyan aap ke" jootay utaarnay" ke intzaar mein khari hoti hain .
Jo amma aap ki jaib mein aik rupiya nahi tkne dete sasural jatay waqt hazaron rupay aap ki jaib mein daal deti hain. aap ko aisa ehsas hota hai jaisay aap puranay waqton ke لمبردار hain aur sarkari kaam se jatay ہوئے saaray gaon ki izzat aap ke hathon mein hai .

Jis ko doosri booti daalnay par haath par chamcha parta tha aaj sab log ڈونگے se bootiyan nikaal nikaal kar is ki plate mein daal rahay hotay hain .
Sasural mein aap ki aisay izzat ki jati hai jaisay America ka saddar Pakistan ke doray par aaya ho. aap ko yaqeen ho jata hai ke yahi woh ghar hai jahan rehne walay bulaa wajah be aap ki pheeki punch lines par bhi hanstay rahen ge .
Aap ka un susraly rishtadaaron se tafseeli taaruf karwaya jata hai jin se aap pehli aur aakhri baar mil rahay hotay hain ,tamam susraly rishtadaaron ke dawoon ke mutabiq aap ki begum apne ghar mein naahi balkay un ke ghar mein hi peli barhi hoti hain .
Waleemy walay din har shakhs ka aik hi sawal hota hai" zindagi mein kya tabdeeli mehsoos kar rahay hain ". es waqt tak to pata nahi lagta kya tabdeeli aayi hai par har guzarte din ke sath" lag pata jata hai" .😀😄😜

Read More

Friday, December 11, 2020

میں باتھ روم سنگر ہوں



ہم سبھی لوگوں کو جانتے ہیں جن کو باتھ روم میں گانے کی عادت ہے۔ یہاں تک کہ آپ میں سے کچھ پڑھنے والے بھی اس عادت کے فخر کے مالک ہوسکتے ہیں

آج میں ایسے لوگوں کے جذبات کی گہرائی میں غوطہ لگانے کی کوشش کرنے جارہا ہوں۔ میں اس کی وضاحت کرنے کی کوشش کر رہا ہوں۔ بہت سارے لوگ اس کے بارے میں بات نہیں کرتے ہیں ، لہذا مجھے لگتا ہے کہ مجھے اپنے خیالات کو پیش کرنا چاہئے۔

ہم میں سے اکثریت کی طرح میں بھی روزانہ غسل کرتا ہوں لیکن ایک اچھے دن مجھے احساس ہوا کہ میں نہاتے ہوئے گانا گایا تھا اور  یقین کرو کہ میں نے بہت اچھا محسوس کیا۔ میں اس دن کسی وجہ سے خوش تھا اور نہانے سے پہلے ہی میں اپنی ایک پسندیدہ فلم کا ایک پرانا گانا سن رہا تھا۔ میں بعد میں اسے اپنے لئے گا رہا تھا اور اپنی اپنی دھن میں سے کچھ بھی شامل کررہا تھا۔ ھوں تو میں بہت برا سنگر لیکن پھر بھی گا ہی دیا۔ .پھر میری ساخت پر بہت فخر کرنے کادل کر رہا تھا۔  اپنا غسل ختم کرنے کے بعد میں نے ایک لمحے کے لئے رک کر سوچا ، میں کیوں کچھ غیر معمولی کام کر رہا تھا؟ میں نے سوچا اور آخر کار میں ایک جواب لے کر آیا۔

جب لوگ نہاتے ہیں تو لوگ کیوں گاتے ہیں؟ آسان جواب ، وہ خوش لوگ ہیں! کیا آپ نے کبھی پریشانیوں سے بھرے ہوئے کسی کو گاتے ہوئے دیکھا ہے نہی دیکھا ہوگا کیونکہ انہیں اپنی پریشانی کے علاوہ کچھ سمجھ ہی نہیں آتی۔

ذرا تصور کریں کہ آپ کا دن بہت اچھا گزرا ہے اور آپ ایک مطمئن شخص کی حیثیت سے اپنے کمرے میں واپس آجائیں ، آپ سب سے پہلے کیا کام کرتے ہیں؟ آپ خود کو آئینے میں دیکھیں گے اور خود ہی مسکرائیں گے۔ پھر جب آپ کچھ آرام دہ اور پرسکون کام کر رہے ہو تو آپ کچھ موسیقی سنیں گے اور شاید خود ہی کچھ رقص اقدامات کریں۔ پھر نہاتے ہوئے بھی آپ گائیں گے۔ اس سب کے بارے میں سب سے اچھی بات یہ ہے کہ کوئی بھی آپ کا انصاف نہیں کر رہا ہے ، کوئی بھی آپ کی خوشی کی دنیا میں مداخلت نہیں کر رہا ہے۔ 

یہ ایک ثابت شدہ حقیقت ہے کہ تمام تخلیقی افراد ، خاص طور پر گلوکاروں کو اپنی موسیقی کی مہارت کو بہتر بنانے اور اپنی تخلیقی صلاحیتوں کو جانچنے کے لئے اچھے باتھ روموں کی ضرورت ہوتی ہے۔

 لہذا ، آنے والے گلوکاروں اور زندگی بھرکے فن کو جزباتی فن کے خواہاں افراد کو یقینا باتھ روموں میں سرمایہ کاری پر غور کرنا چاہئے۔ اگرچہ آپ اچھے گلوکار ہیں ، بہتری کے لئے ہمیشہ باتھ روم موجود رہتا ہے!باقی ہر چیز کے لئے ، باورچی خانہ ہے۔

لہذا ، باتھ روم میں گاتے رہیں… جب تک کہ کوئی نہیں سنتا!😁

Read More

Main Masoom...میں معصوم

 


Shaytani dimagh ke sath masoom chehra bhi aik Nemat hai. mera zaati khayaal hai, jab مصومیت ko koi mun nah lagaata tha, is ne mujhe gilaay laga liya. shayad yahi wajah hai, hamara masoom sa chehra to sab ne suna tha, par hamein dekh kar to masoom adayey bhi logon ko nazar ayen. aur yeh masoom adayey hamari har ghair Mehram aurat ke samnay –apne poooray joban par hoti hain. waisay bhi kaha jata hai, Pakistani mard masoom ho nah ho, biwi ke samnay masoom banay hi nazar atay hain.

Lekin baat aaj meri masomiyat ki ho rahi hai to mein batata chaloon, kabhi kabhi mujhe lagta hai, ke bachpan mein polio ke bajaye mujhe مصومیت ke qatray pilaaye gaye thay. Tabhi mujh se aisi harkaat sarzad huien, jin ka zikar aaj mein danky ki chout par karne ja raha hon .

Lekin es sy pehlay samajh len, mujhe hamdardi se nafrat hai, tasalii se uljan hai, bharam rakhnay bhi nahi atay aur farishta sift to bilkul bhi nahi hon, meethay jhoot ka hunar seekh nahi paaya aur masoom sach ne kayi log chean le mujh se .

Mein aaj tak apni masomiyat par nahi پچھتایا ya. jab bhi پچھتایا apni chalaki par پچھتایا. un baton ke baad bhi jin mardon ko hum masoom nahi lagtay, woh mujhe mashkook lagtay hain aur jin aurton ko hum masoom nahi lagtay woh mujhe mashooq. .. .. .. .. .. .. .. .. .. . .

Shuruvaat karte hain school se ,school ke zamane mein mujhe financial advisors bana diya gaya. mein ne apne doston se kaha, jo raat ka khana nahi khaye ga, usay pachaas 50 rupay milein ge. sab dost pachaas pachaas rupay le kar so gaye. jab subah utthay to mein ne kaha, nashta usay miley ga jo pachaas 50 rupay ada kere ga. us din se dost naraaz hain .

Phir college mein meri saheli ne kaha : farz karo tumahray aik crore ki lotry lag jaye aur isi din mujhe koi ighwa kar le aur aik crore maang le, to tum kya karogay? mein ne bhi masoom sa jawab day diya ky yeh namumkin hai meri aik din mein do لاٹریاں lag hi nahi sakteen. es din se dost bhi naraaz. yeh tab se hamara takiya kalaam hai, larki ko jaan bananay se behtar hai, bandah desi ghee kha ke jaan bana le. waisay bhi hamein yaqeen nahi ke mehbooba ki ungli chaye mein ghumanay se chaye meethi hojaye. Agar aisa hota to mera aik masoom sa sawal hai, ke poori mehbooba pani wali tanky mein daal kar rooh afzaa banaya ja sakta hai ?

University mein aik din online class khatam hui to sir ne kaha koi sawal ho to pouchon .
mein pooch betha sir jo darmiyan mein aap ko chaye dainay aayi thee woh kon thee?. Sir bhi naraaz. Zindagi mein mera agay nikal jane ki wajah bhi shayad yeh hai. ke mein ne hamesha un logon ki ghaltion se sabaq seekha hai, jo doosron ne mujh se mahswara lainay ke baad ki hon. Waisay bhi aqal badam khanay se nahi aati, balkay dhoka khanay se aati hai. aur mein ne apni mukhtasir si zindagi mein hamesha dhoka khaye hain. misaal ke tor par khajoor, saib, aanar, angoor, badam, aam, ناشپتی waghera sab dho ke khaye hain. aap bhi dho ke khaya karen .
Aakhir mein, meri 2 gzarshat : ya to hamein mukammal چالاکیاں sikhayi jayen, nahi to hum masoomon ki allag bastiyan banayen jayen. aur dosra meri dolhn shararti honi chahiye kyunkay masoom to mein khud bhi bohat hon .

Read More

Thursday, December 10, 2020

Susti...سستی

 


Haan jee mein sust hon aur yeh susti to bachpan se hi hai. maslan meri susti ke aalam ka andaza bakhoobi is baat se lagaya ja sakta hai, ke peda honay ke baad daidh saal tak kisi se baat tak nahi ki thi. waisay bhi susti sab se ziyada wafadar cheez hai. aik baar aa jay to zindagi bhar sath nibhati hai.

Mein to pedaishi sust hon aur الحمدللہ es susti ki wajah se har jagah izzat hoti hai. yeh allag baat hai susti se kabhi kahin jana hi nah howa . bachpan mein master sahib ne * kahili *کاہلی* par mazmoon likh kar laane ke liye kaha. meri copy check ki to tamam safhaat khaali thay, aakhri safhay ke neechay likha tha" usay kehte hain kahiliکاہلی ". es ke baad master sahib ne jo mere sath jo sulooq kya, is se kaali aandhi ki team ka sulooq Pakistani team se yaad aa jata hai.

Aik dafaa waalid sahib Dr sahib ke paas le gaye. mein ne Dr se kaha : mein ne to suna tha khailnay se susti khatam ho jati hai, par mujhe koi farq nahi para. Dr : konsa khail khailtay ho.? mein : chiri uddi, kaan adda. Dr ne mashkook nazron se mujhe aur herat zada nigah se mere waalid ko dekha. kher mein apni riwayati susti ki wajah se Dr ki fees ada nah kr ska. to Dr ne dobarah bil bheja jis par likha tha aaj es bil ko poora aik saal hogaya hai aur aap ne aaj tak adaigi nahi ki. mein ne jawab mein yeh likh kar bheja, aap ko bil ki saalgirah mubarak .
Mera aaj likhnay ka maqsad yeh hai ke agar aap sust hain, to khush hain aur jo chust hain woh bhi lock down mein sust hain. waisay bhi sarrak par ja baja likha nazar aata hai, taiz raftari hamesha haadsay ka baais banti hai. waisay to zindagi bhi aik haadsa hai jis mein har cheez udi, bachpan mein chiri udi, kuaa ura, jawani mein neend udi, chain ura, burhapay mein baal uray, daant uray, par yeh kambakht susti nah udi .

Jis ka hamein gham nahi kyun kay chust logon ko bachpan mein khwahish, jawani mein khawab, udhair Umar mein zarurten aur burhapay mein mein zaroorat sonay nahi detin. waisay bhi chust to jaagta hai raton ko bhi, haan sust ki sukoon ki aankh lagti hai .

Waisay bhi agar aap ghhor karen to pata chalta hai, insaan ko peda doosron ne kya, taleem doosron ne di, kaam karna bhi doosron ne sikhaya, shadi par rishta bhi doosron se jora, aakhir mein qabrustan bhi dosray le gaye, to chusti ka karna kya hai??? waisay bhi susti tab tak chalti hai, jab tak chusti nahi aati aur chust aadmi chaye ki chuski ka woh maza nahi le sakta jo sust laita hai .
to kya faida aisi chusti ka??? sust aadmi kuch kar sakay ya nah kar sakay, magar chaye mein biscuits duubo kar sahi salamat nikaal laita hai aur jo yeh kar sakta hai woh kuch bhi kar sakta hai.😄


Read More