Thursday, December 10, 2020

Susti...سستی

 


Haan jee mein sust hon aur yeh susti to bachpan se hi hai. maslan meri susti ke aalam ka andaza bakhoobi is baat se lagaya ja sakta hai, ke peda honay ke baad daidh saal tak kisi se baat tak nahi ki thi. waisay bhi susti sab se ziyada wafadar cheez hai. aik baar aa jay to zindagi bhar sath nibhati hai.

Mein to pedaishi sust hon aur الحمدللہ es susti ki wajah se har jagah izzat hoti hai. yeh allag baat hai susti se kabhi kahin jana hi nah howa . bachpan mein master sahib ne * kahili *کاہلی* par mazmoon likh kar laane ke liye kaha. meri copy check ki to tamam safhaat khaali thay, aakhri safhay ke neechay likha tha" usay kehte hain kahiliکاہلی ". es ke baad master sahib ne jo mere sath jo sulooq kya, is se kaali aandhi ki team ka sulooq Pakistani team se yaad aa jata hai.

Aik dafaa waalid sahib Dr sahib ke paas le gaye. mein ne Dr se kaha : mein ne to suna tha khailnay se susti khatam ho jati hai, par mujhe koi farq nahi para. Dr : konsa khail khailtay ho.? mein : chiri uddi, kaan adda. Dr ne mashkook nazron se mujhe aur herat zada nigah se mere waalid ko dekha. kher mein apni riwayati susti ki wajah se Dr ki fees ada nah kr ska. to Dr ne dobarah bil bheja jis par likha tha aaj es bil ko poora aik saal hogaya hai aur aap ne aaj tak adaigi nahi ki. mein ne jawab mein yeh likh kar bheja, aap ko bil ki saalgirah mubarak .
Mera aaj likhnay ka maqsad yeh hai ke agar aap sust hain, to khush hain aur jo chust hain woh bhi lock down mein sust hain. waisay bhi sarrak par ja baja likha nazar aata hai, taiz raftari hamesha haadsay ka baais banti hai. waisay to zindagi bhi aik haadsa hai jis mein har cheez udi, bachpan mein chiri udi, kuaa ura, jawani mein neend udi, chain ura, burhapay mein baal uray, daant uray, par yeh kambakht susti nah udi .

Jis ka hamein gham nahi kyun kay chust logon ko bachpan mein khwahish, jawani mein khawab, udhair Umar mein zarurten aur burhapay mein mein zaroorat sonay nahi detin. waisay bhi chust to jaagta hai raton ko bhi, haan sust ki sukoon ki aankh lagti hai .

Waisay bhi agar aap ghhor karen to pata chalta hai, insaan ko peda doosron ne kya, taleem doosron ne di, kaam karna bhi doosron ne sikhaya, shadi par rishta bhi doosron se jora, aakhir mein qabrustan bhi dosray le gaye, to chusti ka karna kya hai??? waisay bhi susti tab tak chalti hai, jab tak chusti nahi aati aur chust aadmi chaye ki chuski ka woh maza nahi le sakta jo sust laita hai .
to kya faida aisi chusti ka??? sust aadmi kuch kar sakay ya nah kar sakay, magar chaye mein biscuits duubo kar sahi salamat nikaal laita hai aur jo yeh kar sakta hai woh kuch bhi kar sakta hai.😄