Kehte hain waqt bdalty pata nahi chalta, aaj se aik mah pehlay ghar par farigh rehne walon ko nikamma kaha jata tha aur aaj unhi ko samajh daar kaha jata hai. hum bhi inhen nikammo matlab ke سمجھداروں mein shaamil hogaye hain.
Harkatein to pehlay hi corona virus jaisi theen jinhein dekh kar kar kayi logon ko mout si aa jati thi. par aaj kal zindagi thaali ke begun jaisi hogayi hai. to socha kyun na aap logon ke dimagh ka bhi bharta bnaye .
Es ke liye mein ne sochnay ka faisla kya aur letey letey chhat ko ghoortay hoye mujh par kayi scienci inkishaaf huve, maslan hamaray ghar ki chipkali ka nakhra colony ki larkiyon se ziyada hai majaal hai apne naak par makhi bethnay dey .
Mazeed jaankaari mein jo izafah howa woh batadreej yeh hai. hamaray ghar mein chhootey barray aur darmiyanay sabhi mila ke kal 10 maiz hain jis mein istemaal sirf 3 ka hai bilkul Pakistani gharon ke afraad ki terhan kyunkay kaam aik do hi karte hain baqi afraad sab nakara hi mlitay hain .
Agli baat aap ki maloomat mein izafay ka baais hogi kyunkay mainy parha hy agar din mein teen baar soyen to raat mein neend nahi aati, bed ke baen side par late kar dayen taraf teen dafaa karvat len to insaan neechay gir jata hai aur agar dayen سائید par jootay utaar kar so jao to subah bhi dayen taraf se hi jootay mlitay hain. jooton se tehqeeq agay barhi to maloom howa Maa ki jooti bijli ki raftaar se bhi ziyada hawa mein tairti hui hamesha teekhi mirch ki terhan lagti hai .
Jis ka apna maza hai aur mazay se yaad aaya, karak chaye چائے ka maza aap ki biwi ke haath se aaye nah aaye kisi aur dosheeza ke haath ki chaye se maza zaroor dobala ho jata hai. haath par tehqeeq ki to pata chala aik haath se taali to nahi bajti par oopar wali baat aap ki biwi ko pata chali to aik hi haath aap ko din mein tarre dikhaane ke liye kaafi hai .
Mazeed scienci inkishafaat ka shoq utha to pata chala agar kelay کیلے ko chaye mein 5 minute tak pakaya jaye to kela phir bhi kela hi rehta hai aur baghair cheeni ke chaye walay cupp mein laakh chamach ہلائیں woh pheeki hi rahay gi .
jab buscuits chaye mein dabonay ke liye uthaya to maloom para har candy buscuits mein 23 cheeni ke danay hotay hain aur tuk buscuits mein 22 sorakh hotay hain, mazeed tehqeeq ne saabit kya ghar ke darwazay par kharray hokar 27 degree par gardun گردن ko ghumayen to gardun mein bil بل nahi parta .
Un qeemti maloomat mein agar aap ka dimagh ka bharta nahi banaya to aap 100gram kalonji, 100gram ajwain aur 100gram sonf len. aur tenu ko mila len phir un ko allag allag karen yaqeenan dimagh ka bharta ban jaye ga .😜😀